1
Tera Wujood saraapa tajalliy-e-afrang
ke tu wahan kay imaarat garon ki hai tameer
magar yeh paiker-e-khaaki khudi se hai khaali
faqat niyaam hai tu zar nigaar-o-bay-shamsheer
2
teri nigaah mein saabit nahin khuda ka wujood
meri nigaah mein sabit nahin wujood tera!
wujood kia hai? faqat jauhar-e-khudi ki namood
ker apni fikr kay jauhar hai bay-namood tera
Advertisements
“musalmaan ko musalmaan kar diya toofaan-e-maghrib ne”
meray zehan se nahi nikal raha yeh aik misra…
Beherhaal, kya zabardast baat kahi hai Iqbal ne ‘afrang-zada’ main…
“teri nigaah mein saabit nahin khuda ka wujood
meri nigaah mein sabit nahin wujood tera!”
bus samajhne kay liye aqal aur ki zaroorat hai!
yeh athiest ki taraf ishara hai